| Urdu Shayari | |
|
+18humaira Hafsa miss_pak khanpak007 haroun77 sahiba-1988 rishyjan lapakiz93 Madiha pagal girl Kismat95 friendrose95 ù$m@n miss95 Aliyah Mana saba Admin 22 participants |
|
Auteur | Message |
---|
humaira Membres débutant
Nombre de messages : 36 Date d'inscription : 25/06/2009
| Sujet: Re: Urdu Shayari Mer 9 Sep - 21:11 | |
| Tarasti nazron ki pyaas ho tum, Tadapte dil ki aas ho tum, Bujhti zindagi ki saans ho tum, Phir main kaise na kahun, Mere liye kuchh khaas ho tum. | |
|
| |
Hafsa Membres habitué
Nombre de messages : 351 Age : 33 Location : in my mum's heart Date d'inscription : 31/01/2009
| Sujet: Re: Urdu Shayari Ven 11 Sep - 13:10 | |
| chale jate hai apno ko bhula ke Rulane ke liye apni yaadein chhod jate hai Dil se itni mohabbat karke bhi Naa ki hui galati ki saza de jate hai.. | |
|
| |
Hafsa Membres habitué
Nombre de messages : 351 Age : 33 Location : in my mum's heart Date d'inscription : 31/01/2009
| Sujet: Re: Urdu Shayari Ven 11 Sep - 13:12 | |
| jab koi yaad si lehrayi hai dil ne ek chot nayi khaayi hai phool daaman mein ho ya kaante ho teri har cheez meri rubaayi hain kya ajab khel dikhata hai humhe waqt aisa bhi tamashayi hai kisko duniya mein hum kahe apna yahan har cheez hi parayi hai aap kaanton se huye hain ghayal chot phoolon se maine khaayi hai bheed mein tanha-tanha rehti hoon aisi tabhiyat hi maine paayi hai zindagi naam hai muqaddar ka choht bhi maine kismat se khayi hai... | |
|
| |
Hafsa Membres habitué
Nombre de messages : 351 Age : 33 Location : in my mum's heart Date d'inscription : 31/01/2009
| Sujet: Re: Urdu Shayari Ven 11 Sep - 13:13 | |
| Agar unhe lage koi zakhm toh dard hume ho Agar unhe ho koi gum toh palke humari num ho Agar unpe ho koi sitam toh saanse humari kam ho Aur unpe khili rahe har pal muskan chahe khushi hamari kam ho... | |
|
| |
ù$m@n Membres puissant
Nombre de messages : 422 Age : 38 Location : 93 Date d'inscription : 28/01/2009
| Sujet: Re: Urdu Shayari Mar 15 Sep - 13:13 | |
| itna toota hoon k choone se bikher jaon ga ab agar oar aazmao ge to mer jaon ga ik aarzi musafir hoon main teri kashti main tum jahan mujhe se kaho ge main uter jaon ga haath pakro ge to saaya ban k saath challun ga haath choro ge to hamaisha k liye bicher jaon ga | |
|
| |
ù$m@n Membres puissant
Nombre de messages : 422 Age : 38 Location : 93 Date d'inscription : 28/01/2009
| Sujet: Re: Urdu Shayari Mar 15 Sep - 13:26 | |
| nigahoon k samander ka thikana chahte hain hum humain tum se mohabbat hai btana chahte hain hum humain hachi nahi lagti moasam ki shadabi ab tumain buss saansun main basana chahte hain hum hamara ghar to roshan hai hamare naam se laikin tumare naam se jeevan sajana chahte hain hum mere chehre pe tumari mohabbat perhte hain loag buss yeh baat tum ko b batana chahte hain hum humain her haal main tum se aqidat oar mohabbat hai tumare paas aane ka bahana chahte hain hum | |
|
| |
Mana Membres habitué
Nombre de messages : 373 Age : 34 Date d'inscription : 29/01/2009
| Sujet: Re: Urdu Shayari Jeu 24 Sep - 16:40 | |
| Teri Yadein Itna Rulati Hai Hume, Ke Kahin Mere Ansun Khoon Me Na Badal Jaye Paenge Jis Din Hum Tumko Kahi Is Jahan Se Na Guzar Jaye | |
|
| |
ù$m@n Membres puissant
Nombre de messages : 422 Age : 38 Location : 93 Date d'inscription : 28/01/2009
| Sujet: Re: Urdu Shayari Dim 27 Sep - 21:46 | |
| kitana ajeeb apni zindgi ka safer nikla sare jahan ka dard apna muqadar nikla ker diya naam jis k zindgi ka her lamha afsoas woh apni chahat se be khaber nikla | |
|
| |
ù$m@n Membres puissant
Nombre de messages : 422 Age : 38 Location : 93 Date d'inscription : 28/01/2009
| Sujet: Re: Urdu Shayari Dim 27 Sep - 21:48 | |
| sapne ki tarah tujhe sajaa k rakhoon chandni raat ki nazroon se chupaa k rakhoon meri taqdeer mere saath nahi warna zindagi bhar main tuje apna bnaa k rakhoon | |
|
| |
Mana Membres habitué
Nombre de messages : 373 Age : 34 Date d'inscription : 29/01/2009
| Sujet: Re: Urdu Shayari Sam 24 Oct - 22:10 | |
| Itna Bhi Na Chaho humain Ke Hum deewane Ho jayen Tujh Main Kho Jayen Khud Se Beghane Ho Jayen
Tujhe Dekhen Tujhe Sochen Tujh Se Baatein Karten rahein Kash Teri Mohabbat main ek Ek Pal Zamane Ho Jayen
Dil Yeh Mera Chahta hai Ke Tu Hi To Ho Bass Baki Weerane Ho Jayen..... | |
|
| |
Mana Membres habitué
Nombre de messages : 373 Age : 34 Date d'inscription : 29/01/2009
| Sujet: Re: Urdu Shayari Sam 24 Oct - 22:11 | |
| seene main DIL dil main DERD derd main NASHA nashay main MITHAS mithas main TESHNAGI teshnagi main AARZOO aarzoo main HASRAT hasrat main UMEED umeed main KHEYAL kheyal main TASWUR taswur main TASVEER tasveer main TU HAI tujh main ADA HAI ada main WAFA wafa main SHOKHI shokhi main SHARARAT shararat main GHUSA ghuse main BANAWAT banawat main APNIYAT apniyat main CHAAHAT chaahat main KHULOOS khuloos main PIYAR piyar main EBAADAT ebaadat mein KHUDA Khuda se DUA HAI dua main sirf TUM HO | |
|
| |
ù$m@n Membres puissant
Nombre de messages : 422 Age : 38 Location : 93 Date d'inscription : 28/01/2009
| Sujet: Re: Urdu Shayari Mar 27 Oct - 23:20 | |
| | |
|
| |
SAJID93 Membres débutant
Nombre de messages : 12 Date d'inscription : 29/01/2009
| Sujet: Re: Urdu Shayari Sam 31 Oct - 1:29 | |
| trop bo poems miss Mana
mujhe hai ek gila tumse shikayat bhi hai shikwah bhi mujhe kyu yaad aate ho kyu mujh ko yu satate ho mujhe kyu tum tarsate ho tarsake kyu rulate ho ye duri kyu majburi kyu zindagi yu adhoori kyu kyu mujh ko bhool jaate ho rulake muskurate ho ye kaisi teri chahat hai ye akhir kaisi muhabbat hai jijhak kyu hai hichak kyu hai sisak kyu hai kasak kyu hai mujhe tumse shikayat hai yehi meri shikayat hai
**** SaJiD**** | |
|
| |
sahiba-1988 Membres débutant
Nombre de messages : 71 Age : 36 Location : Chez moi Date d'inscription : 08/03/2009
| Sujet: Re: Urdu Shayari Jeu 7 Jan - 23:30 | |
| Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do
Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do
Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do
Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do
Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh do | |
|
| |
Mana Membres habitué
Nombre de messages : 373 Age : 34 Date d'inscription : 29/01/2009
| Sujet: Re: Urdu Shayari Sam 16 Jan - 0:10 | |
| ZINDGI KABHI MUSHKIL TO KABHI AASAN HOTI HAI, ANKHON ME NAMI HONTHO PE MUSKAN HOTI HAI, NA BHULNA APNI MUSKURAHAT KO, ISSI SE HAR MUSHKIL AASAN HOTI HAI. | |
|
| |
desi95 Membres arrivant
Nombre de messages : 3 Date d'inscription : 10/11/2009
| Sujet: Re: Urdu Shayari Dim 24 Jan - 23:24 | |
| - Mana a écrit:
- ZINDGI KABHI MUSHKIL TO KABHI AASAN HOTI HAI,
ANKHON ME NAMI HONTHO PE MUSKAN HOTI HAI, NA BHULNA APNI MUSKURAHAT KO, ISSI SE HAR MUSHKIL AASAN HOTI HAI. bohut hi zabardast shayeri hai | |
|
| |
Mana Membres habitué
Nombre de messages : 373 Age : 34 Date d'inscription : 29/01/2009
| Sujet: Re: Urdu Shayari Ven 12 Mar - 14:23 | |
| Chand or mera Dil
Dil mera ghoom soom sa betha hua hai Tanhayi main chand se baatein karta rehta hai
Chota sa ujala rakhne ke lye dil main chand ko hi dekhta rehta hai Yeh chand sunta hi nahi dil ki baat bass hamosh hi betha huwa hota hai
Iss chand ke kareeb bi na kitne pyare pyare sitare saje huwe hote hai In chand sitaron ki pyari chamak se bana leta hon ek apni si duniya
Kia kahen ke mere dil par vo bi kitne mehrbaan hai Kabi bi kissi raat ko chortee nahi mere dil ko tanha | |
|
| |
Mana Membres habitué
Nombre de messages : 373 Age : 34 Date d'inscription : 29/01/2009
| Sujet: Re: Urdu Shayari Ven 12 Mar - 14:25 | |
| Kuch Likhna Chahati Hoon Sochti Hoon Kya Likhoon?
Pholoon Ki Woh Mehakti Khushboo Barish Ka Woh Bhega Pani Aur Hawa Mein Thi Jo Rawani Kya Uss Mousam Ka Khumaar Likhoon?
Kuch Likhna Chahati Hoon Sochti Hoon Kya Likhoon? Thi Chehrey Par Unkey Masomiyat Aankhoon Mein Thi Thori Shararat Aur Baatoon Mein Woh Nazakat Kya Unka Rangeen Mizaaj Likhoon?
Kuch Likhna chahati Hoon Sochti Hoon Kya Likhoon? Unka Aaker Muskurana Jo Rooth Jaon To Manana Jate Jate Phir Rulana Kya Unka Yeh Andaaz Likhoon?
Kuch Likhna Chahati Hoon Sochti Hoon Kya Likhoon? Yaadoon Mein Unkey Ashk Bahana Her Shaam Ek Diya Jalana Soi Umeed Ko Roz Jagana Kya Unka Yeh Intezar Likhoon?
Kuch Likhna Chahati Hoon Sochti Hoon Kya Likhon? | |
|
| |
Hafsa Membres habitué
Nombre de messages : 351 Age : 33 Location : in my mum's heart Date d'inscription : 31/01/2009
| Sujet: Re: Urdu Shayari Dim 18 Avr - 21:18 | |
| Khwaab mein tum aaye, To khwaab haseen ho jaye, Agar khwaab sach ho jaye, To zindagi haseen ho jaye.. | |
|
| |
dil_ki_princesse Membres débutant
Nombre de messages : 68 Age : 35 Date d'inscription : 16/04/2010
| Sujet: Re: Urdu Shayari Mer 21 Avr - 21:46 | |
| "tera talluq meray liye aik tohfa hy Khuda ka, jo kabhi na tootay wo rishta hy wafa ka.. hum tujh ko kabhi bhula nahi sakain gey, tujh sy rishta hay aisa,jaisay lub or dua ka" | |
|
| |
Mana Membres habitué
Nombre de messages : 373 Age : 34 Date d'inscription : 29/01/2009
| Sujet: Re: Urdu Shayari Ven 23 Avr - 17:39 | |
| Bohat khush naseeb kal ki raat guzri, Kuch tanha par kuch khaas guzri, Na neend aayi na Khwab koi, Bas tere Khyalon k SAATH GUZRI.... | |
|
| |
Mana Membres habitué
Nombre de messages : 373 Age : 34 Date d'inscription : 29/01/2009
| Sujet: Re: Urdu Shayari Ven 23 Avr - 17:41 | |
| Umeed aisi ho jo jeenay ko majboor kare, Rah aisi ho jo chalne ko majboor kare, Mehak kam na ho kabhi apne PYAAR ki, PYAAR aisa ho jo milne ko majboor kare | |
|
| |
ù$m@n Membres puissant
Nombre de messages : 422 Age : 38 Location : 93 Date d'inscription : 28/01/2009
| Sujet: Re: Urdu Shayari Lun 26 Avr - 3:14 | |
| ZABARDAST MANA JI tros bo les poems | |
|
| |
ù$m@n Membres puissant
Nombre de messages : 422 Age : 38 Location : 93 Date d'inscription : 28/01/2009
| Sujet: Re: Urdu Shayari Lun 26 Avr - 3:15 | |
| Chaand aggar roshan hai to roshni aap hoo... Phool aggar mehek hai to khushbu aap hoo... Barf aggar thandi hai to thandak aap hoo... Zinda aggar hum hai to zindagi AAP hoo... | |
|
| |
ù$m@n Membres puissant
Nombre de messages : 422 Age : 38 Location : 93 Date d'inscription : 28/01/2009
| Sujet: Re: Urdu Shayari Lun 26 Avr - 3:17 | |
| Bhari mehfil meiN tanha mujhe rehna sikha diya Tere pyar ne duniya ko jhoothha kehna sikha diya Kisi dard ya khushi ka ehsaas nahin hai ab to Sab kucch zindagi meiN chup-chaap sehna sikha diya | |
|
| |
Contenu sponsorisé
| Sujet: Re: Urdu Shayari | |
| |
|
| |
| Urdu Shayari | |
|